Raat tho thami, par
der hone ke baad
Lafz tho ruke, par
sheesha tootne ke baad
Ek Umr lag gayi
samajhne ko
Ki Jeena jaane, par
der hone ke baad
Haath tho thaama
tha, muskurahat bhi chehki thi
Ki Insaniyat ubhar
aayi thi, par der hone ke baad
Roshni ka tha
intezaar, par suraj dekhna na gawara
Ki Raat hone par,
kismat pe rona tha sawara
Ek ungli jo badaa
detha, duniya thi haazir mutti thaamne
Par main hi na dekh
paaya, ke mera waqt tha khadaa saamne
Haasil tho hua sab
kuch, par der hone ke baad
1 comment:
Hindi poetry! Unbelievable! Why didn't you pen it in Hindi font? You could have also added a Google translator tool! More feel :) But nicely done!
Post a Comment